Pyaj Ki Kheti Kaise Kare Hindi Me
Pyaj bharat mein khaiye jaane wali lokpriya sabzi hai aur pyaj ke karan anek sabziyon ka swad badh jaata hai. Pyaj ki kheti aasani se ki jaa sakti hai. Yeh anek prakar ki mitti mein ugne ki shamta rakhti hai aur jahan bhi acchi tarah se sinchai ho sake wahan pyaj ug sakti hai. Aayie jaane pyaj ki kheti ko kis prakar kar sakte hain. Pyaj Ki Kheti Kaise Kare Hindi Me.
Pyaj ki kheti ke liye samay ka chunav
Pyaj ko ugane ke liye 25 degree celcius ke aas pass ka tapmann aur pyaj ki fasal ko pakne ke liye 30 se 35 degree celcius ka tapmaan chahiye hota hai. Isliye isay jaati huyi sardiyon ke samay boya jaata hai jab na to zyada thand aur garmi padti hai aur na hi bahut zyada baarish hoti hai. Janiye Kheti Kaise Kare – Kheti Ke Tips – Jada Paise Kamaye.
Pyaj ko bone ke liye sthan ka chayan
Pyaz ko anek prakar ki mitti mein boya jaa sakta hai lekin retili, aur zyada bhurbhuri mitti pyaz ki kheti ke liye sabse zyaad upyukt hai. Isliye woh khet jinki mitti is prakar ki ho unmein hi pyaz ki kheti zaroor karni chahiye. Mitti ki prakriti paani ki tarah honi chahiye yani uski pH 5.8 se 7.2 ke beech ho. Iskay saath hi khet aisa ho jisme surya ki roshni acchi tarah aati ho.
Mitti ki tyyari kaise karen
Mitti ko khod kar dheela kar len aur khet mein ugi hui ghas phoos aur pathharon ko hata den. Yadi mitti mein poshan dene wale tatvon ki kami hai to pyaaz bone se pehle usmay prakritik khaad milayen. Zyaada khudi hui mitti ko daba den kyonki pyaaz sakth mitti mein zyaada acchi tarah ugati hai.
Kitni matra mein pyaaz boyen
Pyaaz ko teen tarike se ugaya jaa sakta hai. Pehlee hai paudhon ka pratiropan jisme jab pyaaz ke paudhe 6 se 8 saptah ke ho jaate hain to unhe gamlon se hatakar khet mein boo diya jaata hai. Doosri hai Pyaaz ke beejon ko khet mein seedha hi boo diya jaata hai aur teesre vidhi hai ki pyaazon ko khet mein boo diya jaye. Agar pyaaz ke paudhe pratyaropit kar rahe hain to har paudhe ko ek doosre se 15 centimeter door lagayen. Agar pyaaz ke beej bo rahe hain to khet ke hisaab se pyaaz ke beejon ki matra len. 10 hazar varg feet ke khet ke liye 2.5 kilo pyaaz ke baaz kafi hain. Agar pyaaz hi boo rahe hain to khet ke hisab se is prakar pyaaz len ki do pyaaz ke beech ki doori kam se kam 15 centimeter ho. Jane Ghutno Ka Dard Kaise Kam Kare Upay Ilaj.
Pyaj ko kaise boyen
Pyaj ko bone ke liye sabse paehle mitti mein ek jaisi lambi panktiyaan banyen. Ek jaisi seedhi panktiyon ko banane ke liye aap seedhe dhage ka upyog kar sakte hain. Ab mitti ki in panktiyon mein kam gehre gadde karen jo ek doosre se 15 centimeter ki doori par hon. Ab har gadde mein ek pyaj is tarah rakhen ki pyaj ka patla sira upar ki taraf ho jisse paudha nikalta hai.
Sinchai
Pyaj ko bone ke baad sinchai bahut zaroori hoti hai. Pyaj ko boone ke teesre din sinchai karen. Iskay baad agar mausam sukha hai aur barish nahi hoti hai to 7 dino baad phir sinchai karen. Pyaj ki jaden jamne ke liye usay kafi matra mein sinchai ki zaroorat hoti hai. Lekin aas paas pani nahin jamne den. Agar jadon ke pass zyada pani jamta hai to jaden gal jaatee hain. Padhiye Motapa Kaise Kam Kare : Pet Ki Charbi Kaise Ghataye.
Pyaaz ki fasal ko nikalne ka samay
Pyaz pak gayi hai aur usay nikne ka samay aa gaya hai iska andaaza pyaz ke paudhon se lagaya jaa sakta hai. Jab Pyaaz ke paudhe nai pattiyan dena band kar den aur jab pyaaz ka tana gir jaay to yeh pyaaz ki fasal ke tayyar hone ka suchak hai. Jab Pyaaz ke khet mein lagbhag aadhe tane gir jaayen tab samajh lena chahiye ki pyaaz ki fasal tayyar ho gayi hai. Aisa hone par pyaaz ko mitti se nikal kar khet mein dhoop ki roshni mein 2 se 3 din ke liye rakhe rehna chahiye jise pyaaz ke andar ki zyaada nami hat jaye aur woh kharab nahin ho.
Aapko ye article kaise laga niche comment me jarur likhiye.
I want to do this on my roof. Please mail me full process and also share details about storage.
ReplyDelete